Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

Twitter ek Amazing public Resource hai. Jo dusre social sites se kaafi acha mana ja raha hai. lekin agar aap twitter par naye hai to aapke liye thoda mushkil ho jata hai ise samajhna ,lekin hum yaha aapke liye step by step twitter par account banane ka tarike aur twitter kaise chalate hai usko batate jayenge


Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

Twitter ka sabse khas bat ye hota hai ki isme sirf 140 character hi diya jata hai likhne ke liye. 140 character se jyada ka aap use tweet karne ke liye nhi  kar sakte . isme aap photo video ya kuch bhi tweet kar sakte hai video ke liyee 30 sec se 140 sec hota hai.

Twitter par account kaise banaye

google me jakar twitter search kare ya click kar twitter par jaye b fir waha signup par click kare
Twitter sign up ka ek page khulega waha aap apna pura nam , email address aur password dalkar sign up par click karenge
Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

Signup par click karne ke bad ek dusra page khulega jisme aap ko country select karna hoga aur mobile number dalna hoga. agar ap mobile number nhi dalna chahte to skip karke aage ki page ki taraf ja sakte hai.

Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

iske bad aapko username dalna hoga aur check avaibility par click kar check karna hoga jo username aap dal rahe hai kya wo available hai . fir apne pasand ka username select kar aage badhe aur ban gaya aapka twitter account.
Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

agla ek page khulega jisme apse intrest pucha jayega apne pasand bataye us related suggestion aapko apke timeline par dikhne chalu ho jayenge.

Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step
twitter par account banane ke bad bari aati hai apne twitter ko sajane ki. isliye twitter me aap apna photo , cover aur ek badhiya sa bio zarur likhe. jaisa screen shot me diya gaya hai.

Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step

aaye ab hum dekhte hai twitter chalane ke kuch basic rule jo twitter kaafi asan bana denge...

Twitter ke Basic Rule

Twitter par aap sirf 140 shabd ka hi istemal ek tweet ke liye kar sakte hai. twitter aap par ek dusre ko message bhejte hai jise direct message kahte hai jiske liye bhi ek bar me 140 shabd use kar sakte hai. lekin aap jitne ko chahe utne ko dm kar sakte hai agar aap dono ne ek dusre ko follow kar rakha ho ya ya kisi ne bhi apna message band na kar rakha ho .

agar aap koi tweet karte hai to use sab koi dekh sakta hai yaha tak ki jisne aapko follow nhi kiya ho. lekin aagar saapne apna tweet protected rakha to sirf aapke follower hi tweet dekh payenge, lekin generally log twitter ke tweet public hi rakhte hai kyuki social sites ka asli maza to yahi hota hai
Lekin agar aap apne tweet ko protected rakhna chahte hai to setting me jakar ise badal sakte hai lekin by default ye public hota hai

Hashtag kya hota
Sadharan sabdo me kaha jaye to apne tweet me usse jude shabdo ko tag karna hi hashtag kahlata hai jaise hame samsung galaxy s7  related agar hashtag banana ho to hum #samsunggalaxys7 likh sakte hai koi agar #samsunggalaxys7 Par click karega to samsung galaxy s7  se jude tweet aapke feed me dikhne lagenge

Maine upar ke example me @samsungmobile likha hai jiska matlab hai maine apne tweet me samsung mobile ko tag kiya hai aap apne follower ya kisi aur ko bhi @ ke sath us user ka usernam dal kar tag kar sakte hai uske paas apke tweet ka notification chala jayega.

Replies Retweet aur Likes
reply ka use aap kisi bhi user ke tweet par kar sakte hai jisse wo user notify bhi hota hai ye facebook ke comment section ki tarah ki kam karta hai

lekin agar hum retweet ki baat kare to ye twitter ka kafi aham hissa hota hai jisse hum kisi news jokes ya kisi tarah ke tweet ko bina likhe hi apne userya follower ke liye same to same share kar sakte hai

twitter ke kisi tweet me reply aur retweet ki tarah hi like ka bhi button hota hai chote dil ki aakar ka bana hota hai.
Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step Twitter kya hai , ise kaise chalate hai, janiye hindi me step by step Reviewed by Amir Pathan on सोमवार, अक्तूबर 09, 2017 Rating: 5

कोई टिप्पणी नहीं:

Blogger द्वारा संचालित.